Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth haiaadha saccha sa.Jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana haiaccha sa.Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo pass ho kebhi pass nahi.Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh denakoi khaas nahi.Hawa ka ek suhana jhonka hai, Kabhi nazuk tohkabhi tufaano sa.Chehra dekh kar jo nazrein jhuka le, Kabhiapna toh kabhi begaano sa.Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai,par dil ko pyaas nahi.Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh denakoi khaas nahi.
Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaatahai, Yaadon me jiska ek dhundhla chehra rehjaata hai.Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahi, Parkabhikabhiaankho se ansu ban ke beh jaatahai.Yuh rehta toh mere tassavur me hai, Par inaankho ko uski talaash nahi.Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh denakoi khaas nahi!!!

